Friday, 10 February 2012

Waldain Ki Azmat

Jab hum is dunya mai aatay hain to na hamain chalna aata he, na hamain khana aata he aur na hamain bolna aata he,yani hum her terhan se kisi ke mohtaaj hote hain to parents hi hamain ye sab kuch sikhate hain.Father sara din mehnat ker ke jo kuch kamata he hum per kharach ker deta he.Mother din raat hamara khayal rakhti he.Hamaray bachpan se le ker jawani tak Maan Baap din raat saalon shadeed mehnat ker ke hamain is qabil banate hain ke hum apna her kaam khud ker sakain.Hum is waqt jo kuch bhi hain Allah ke baad parents ki hi mehnat aur inki dua ki waja se hain.Jab waldain hamara khayal rakhne ke qabil nahe rehte aur khud motaj ho jate hain us waqt bhi wo hamaray liye jannat ka zaria hote hain yani hum inki khidmat ker ke jannat hasil ker sakte hain.Waldain wo azeem hastiaan hain jo hamaray liye hamesha mukhlis hote hain aur her haal main hamain faeda pohanchate hain dunya ka bhi aur akhrat ka bhi.Lehaza inki jitni khidmat ki jae kam he.Waldain ki azmat ka sahi andaza us waqt hota he jab wo is sunya se chale jate hain.Lehaza inka jitna khayal rakh sakte hain rakhain aur apni aakhrat sanwarain.

No comments:

Post a Comment